People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 15 *

Khak Mein Mila Toh Kya
Music: Ravi
Lyricist: Rajendra Krishan
Album: Sagaai(1966)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Sagaai/Khak-Mein-Mila-To-Kya-Phool/IFoTbi1AR2U
Video:
khak me mila to kya phul fir bhi phul hai
khak me mila to kya phul fir bhi phul hai
gum se har manna admi ki bhul hai
gum se har manna admi ki bhul hai
khak me mila to kya phul fir bhi phul hai

aandhiyo me na jale to wo charag hi nahi
aandhiyo me na jale to wo charag hi nahi
bahar hi me jo khile wo bag bag hi nahi
uljhane na ho agar to jindagi fizul hai
khak me mila to kya phul fir bhi phul hai

paw kat gaye to kya hausle jawan hai
paw kat gaye to kya hausle jawan hai
ummid pe hi to khade jami or asman hai
ye bekashi ye bebasi raste ki dhul hai
khak me mila to kya phul fir bhi phul hai

muskurake kat de ranj or gum ke raste
muskurake kat de ranj or gum ke raste
intzar me khadi khushi hai tere waste
intzar me khadi khushi hai tere waste
usi ki hai ye jindagi gum jise kubul hai
khak me mila to kya phul fir bhi phul hai
khak me mila to kya phul fir bhi phul hai
gum se har manna admi ki bhul hai
gum se har manna admi ki bhul hai
khak me mila to kya phul fir bhi phul hai
Chameli Mera Naam
Music: Usha Khanna
Lyricist: Sawan Kumar Tak
Album: Sabak(1973)
Tag: Hindi
Video:
chameli mera nam aur champa mera nam
chameli mera nam aur champa mera nam
tum dono ka diawna mai bhawra mera nam
chameli mera nam aur champa mera nam

sun meri pyari saheli
chandi si chamakti chameli
diwano ki gali na jana bhule se tu akeli
ye sab hai ri harjai nahi rakhna inse kam
chameli mera nam aur champa mera nam
tum dono ka diawna mai bhawra mera nam
chameli mera nam aur champa mera nam

harjai nahi diwane hai hum
tere chahne wale hai
aa pyar se lag ja mere gale
hum aashik to dilwale hai
yu chahne walo ko meri ja karte nahi badnam
chameli mera nam aur champa mera nam
tum dono ka diawna mai bhawra mera nam
chameli mera nam aur champa mera nam

sun meri saheli champa rang tera sone jaisa
awara ye lutne aaya dekho yowan kaisa
aise diwane se to bas mujhko bachaye ram
chameli mera nam aur champa mera nam
tum dono ka diawna mai bhawra mera nam
chameli mera nam aur champa mera nam
Marne Ke Baad Hamari
Music: Usha Khanna
Tag: Hindi
Video:
marne ke bad hamari yaad me aansu bahate hai
nawazish hai ye unki aaj wo
do gul chadate hai
mazare ishq to kaanto ke bhi
kabil nahi hota, allah
wo sar khole hamari
kabr pe diwana war aaye
are isi ko maut kahte hai to ya rab
bar bar aaye

ke aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke
mujhse nasib achhe hai
mujhse nasib achhe hai
are mere mazar ke
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke
aaye hai, aaye hai, are aaye hai, aaye hai
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke

ab to wo bhi ishq ke maare najar aane lage
are unki bhi nind ud gayi
tare najar aane lagi
are dil paresha, are aankh veera
ha ha julf barham, lab khamosh
ab to wo kuch aur bhi pyare najar aane lage
aake hamari kabar pe tune jo muskura diya
bijli chamak ke gir padi sara kafan jala diya
haye chain se so raha tha mai, allah
chain se so raha tha mai
odhe kafan mazar me
aur yaha bhi satane aa gaye
kisne pata bata diya
yaha bhi satane aa gaye
kisne pata bata diya
aaye hai, aaye hai, are aaye hai, aaye hai
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke
mujhse nasib achhe hai
mujhse nasib achhe hai
mere mazar ke
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke

bijli kabhi giri, kabhi sayyad aa gaya
hamne to char din bhi na dekhe bahar ke
hamne to char din bhi na dekhe bahar ke
sayyad tere hukme rihai ka shukariya
hum to kafas me kaat chuke din bahar ke
hum to kafas me kaat chuke din bahar ke
hum to kafas me kaat chuke din bahar ke
are wada wo kar gaye the
suno mujhse sham ka
wada wo kar gaye the
suno mujhse sham ka
to kaise katenge char pahar intzar ke
to kaise katenge char pahar intzar ke
to kaise katenge char pahar intzar ke
kiya tha wada ke aayenge wo charag jale
tamam raat charago se dil ke daag jale
ja dekha tera wada, haye re tera wada
ja dekha tera wada, haye re tera wada
ja dekha tera wada, ha dekha tera wada
ja dekha tera wada, haye re tera wada
ja dekha tera wada, haye re tera wada

ke haye, ke haye kaise kate umariya
aas hi aas me, biti jaye
hamre nayan darsh bin tarse
tum bin balam kachhu na suhaye
tori preet ke karan mose
ruthe apne paraye
sab ruthe, ek tum mat ruthiyo
tum ruthio to gazab ho jaye re
ja dekha tera wada, haye re tera wada
ja dekha tera wada, haye re tera wada
ja dekha tera wada, ha dekha tera wada
ja dekha tera wada, haye re tera wada
ja dekha tera wada, haye re tera wada
ja dekha tera wada, haye re tera wada
Madhuban Khushbu Deta Hai-2
Singer: Usha Khanna
Music: Usha Khanna
Lyricist: Indeevar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Saajan-Bina-Suhagan/Madhuban-Khushboo-Deta-Hai-Female/XRIKXhU
Video:
madhuban khusbu deta hai
sagar sawan deta hai
jina uska jina hai jo oro ko jiwan deta hai
madhuban khusbu deta hai

suraj na ban paye to
banke deepak jalta chal
suraj na ban paye to
banke deepak jalta chal
pul mile ya angare
sach ki raho pe chalta chal
pyar dilo ko deta hai
ashko ko daman deta hai
jina uska jina hai jo oro ko
jiwan deta hai
madhuban khusbu deta hai
sagar sawan deta hai
madhuban khusbu deta hai

chalti hai laharake pawan
ke sans sabhi ki chalti rahe
chalti hai laharake pawan
ke sans sabhi ki chalti rahe
logo ne tyag diye jiwan
ke preet dilo me palti rahe
ke preet dilo me palti rahe
dil wo dil hai jo
oro ko apni dhadkan deta hai
jina uska jo oro ko jiwan deta hai
madhuban khusbu sagar jiwan deta hai
madhuban khusbu
Woh Dil Hi Nahi
Music: Usha Khanna
Lyricist: Pt. Madhur
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Paanchwin-Manzil/Woh-Dil-Hi-Nahin/GQRdVgBEeko
Video:
wo dil hi nahi jo aankho se
ban banke aasu bah jaye
wo dil hi nahi jo aankho se
ban banke aasu bah jaye
wo ishk nahi wo husn nahi
wo ishk nahi wo husn nahi
jo apni kahani kah jaye
wo dil hi nahi jo aankho se
ban banke aasu bah jaye
wo dil hi nahi jo aankho se

ham unka kinara bante hai
jo hamse kinara karte hai
hum unko pukara karte hai
jo hamse kinara karte hai
wo kashti hai ya tinka hai
jo lag ke kinare bah jaye
wo dil hi nahi jo aankho se
ban banke aasu bah jaye
wo dil hi nahi jo aankho se

jab ulfat hogi afsana
likhegi jawani ro ro kar
sun legi diwani ro ro kar
likhegi jawani ro ro kar
us jakham ko kyu na pyar kare
jo teer kisi ka sah jaye
wo dil hi nahi jo aankho se
ban banke aasu bah jaye
wo dil hi nahi jo aankho se

badal garje bijli chamke
bundo se sitaro me aag lage
phul se baharo me aag lage
bundo se sitaro me aag lage
jab diwana dil ki biti
mahfil me aake kah jaye
wo dil hi nahi jo aankho se
ban banke aasu bah jaye
wo dil hi nahi jo aankho se

un armano ko kya kahiye
jo pure hue or mit bhi gaye
hum ghar me rahe or lut bhi gaye
jo pure hue or mit bhi gaye
wo tuti tamanna achi hai
jo dil ki dil me rah jaye
wo dil hi nahi jo aankho se
ban banke aasu bah jaye
wo ishk nahi wo husn nahi
jo apni kahani kah jaye
wo dil hi nahi jo aankho se
ban banke aasu bah jaye
wo dil hi nahi jo aankho se
Mai Tera Mohan
Music: Usha Khanna
Lyricist: Irshad
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naag-Puja/Main-Teri-Mohan-Hay-Hay/L1EHe0BDVno
Video:
main tera mohan haay haay
aur tu meri mohaniyaa
are mar gaya
ho main tera dulha
aur tu meri dulhaniya
are ja re kauve

chham-chham ki chaal me
thumari ki taal hai
sunkar na puchho dil ka kya haal hai
kauve ke paanv me ghode ki naal hai
ye bhi achambha dikha deya kamaal hai

ho tu kauva kah le ya ghoda
pichha na tera chhoda
kabhi ud ke aaya
kabhi aaya dauda dauda
ho kabhi ud ke aaya
kabhi aaya dauda dauda
baali umariya tera solwa saal hai
jab se hai dekha tujhe dil ye behaal hai
kauve ke paanv me ghode ki naal hai
ye bhi achambha dikha deya kamaal hai

baate tu mithi suna ke
baawariya mujhko banaye
baate tu mithi suna ke
baawariya mujhko banaye
ho meri raahon me aake
mere dil ko lubhaaye
ho meri raahon me aake
mere dil ko lubhaaye
main hun namak to gori tu fiki daal hai
main hun jawab tera tu ek sawaal hai
kauve ke paanv me ghode ki naal hai
ye bhi achambha dikha deya kamaal hai
chham-chham ki chaal me
thumari ki taal hai
sunkar na puchho dil ka kya haal hai
ari mohani rruk bhi ja
Tere Jaisa Pyara Koi
Singer: Usha Khanna
Music: Usha Khanna
Lyricist: Indeevar
Album: Hotel(1981)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hotel/Tere-Jaisa-Pyara-Koi-Na
Video:
tere jaisa pyara koi nahi hamko tujhse pyara koi nahi
tere siva hamara koi nahi
tere jaisa pyara koi nahi hamko tujhse pyara koi nahi
tere siva hamara koi nahi
tere jaisa pyara koi nahi hamko tujhse pyara koi nahi

hota hai jab sang tera rang mera khilta hai
hota hai jab sang tera rang mera khilta hai
bahon mein teri aakar chain bahut milta hai
gup chup karti hai batein jaise teri hai aankhein
gup chup karti hai batein jaise teri hai aankhein
aisa sitara koi nahi
tere jaisa pyara koi nahi siva tere hamra koi nahi
tere jaisa pyara koi nahi hamko tujhse pyara koi nahi

tujhse hath milaya to ruth gaya har daman
tujhko dost banaya to duniya ban gayi dushman
tere kareeb huye jabse sabse dur huye tabse
tere kareeb huye jabse sabse dur huye tabse
ab to sahara koi nahi tere jaisa pyara koi nahi
siva tere hamara koi nahi tere jaisa pyara koi nahi
hamko tujhse pyara koi nahi tere siva hamara koi nahi
tere jaisa pyara koi nahi hamko tujhse pyara koi nahi
Jeena Hai Toh Jee Bhar Hans Lo
Music: Usha Khanna
Lyricist: Indeevar
Album: Hotel(1981)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hotel/Jeena-Hai-To-Jee-Bhar-H
Video:
la la la la la la
jina hai to ji bhar hans lo
jina hai to ji bhar hans lo
jina hai to ji bhar hans lo
jina hai to ji bhar hans lo
jindagi do din ki
jindagi do din ki
kal na jaane kya ho
jina hai to ji bhar hans lo
jina hai to ji bhar hans lo

sukh dukh to aate jaate hai
sukh dukh to aate jaate hai
aane jane walo ko dil se na bandho tum
aane jane walo ko dil se na bandho tum
jina hai to ji bhar hans lo
jina hai to ji bhar hans lo

hanste chalo ruthi baharo par
hanste chalo ruthi baharo par
apne tute khawabo par jhute saharo par
apne tute khawabo par jhute saharo par
jina hai to ji bhar hans lo
jina hai to ji bhar hans lo

aanewala kal to sapna hai
aanewala kal to sapna hai
ye pal keval apna hai, isko na khona tum
ye pal keval apna hai, isko na khona tum
jina hai to ji bhar hans lo
jina hai to ji bhar hans lo
jindagi do din ki
jindagi do din ki
kal na jaane kya ho
jina hai to ji bhar hans lo
jina hai to ji bhar hans lo
jina hai to ji bhar hans lo
Kaun Yeh Aaya Mein
Music: Usha Khanna
Lyricist: Indeevar
Album: Hotel(1981)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hotel/Kaun-Yeh-Aaya-Mehfil-Me
Video:
kaun yeh aaya mehfil mein, halchal si hai kyun dil mein
rang e badan shola shola loot liya har dil bola
husn mera chhalaka chhalaka main hoon khaabon ki mallika
chhu le agar koi chhaila, ho jaayega badan maila

khaali na jaaye nishaana mera, meri jawaani jamaana mera
teri toh hasti hai kya pagale, saara jamaana deewaana mera
itna bhi kya itraana karake kisiko deewaana
shamma tujhe puchhega kaun agar na ho koyi parwaana
kaun yeh aaya mehfil mein, halchal si hai kyun dil mein
rang e badan shola shola loot liya har dil bola

kaam bhala kya aayegi kab tak ise bachaayegi
chadhati jawaani ki hai yeh nati ek din utar hi jaayegi
ho baat jo mujhse badhaye toh, haath na kuchh bhi aaye toh
jo mann ko chhu le pehale, tan ko wahi chhu paayega
kaun yeh aaya mehfil mein, halchal si hai kyun dil mein
rang e badan shola shola loot liya har dil bola
husn mera chhalaka chhalaka main hoon khaabon ki mallika
chhu le agara koyi chhaila, ho jaayega badan maila
Ek Chokariya Beech Bazariya
Lyricist: Anjaan
Album: Heera1973)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Heera-OST/Ek-Chhokaria-Heera-
Video:
ek chokariya bich bajriya hamse ankh ladaye
ek chokariya bich bajriya hamse ankh ladaye
pyar se jab ham pas bulaye wo bhage katraye
wo hamre hath kaise aye wo hamre hath kaise aye
nam lahriya ang ang mera bijli sa lahraye
nam lahriya ang ang mera bijli sa lahraye
jan jise na pyari ho wo hamko hath lagaye
hasi me jan kahi na jaye hasi me jan kahi na jaye

pyar me gori jan lutana dil walo ka kam
pyar me gori jan lutana dil walo ka kam
bijli ko mai pani kardu heera mera nam
najar ek bar jo lad jaye to kaise pyar na ho jaye
to kaise pyar na ho jaye
hamre gaw me hamne dekha aj gajab andher
hamre gaw me hamne dekha aj gajab andher
ek mati ka madho bole apne ap ko dher
ke jhuthi shan pe itraye use to ram ji samjhaye
use to ram ji samjhaye

hamre gaw mw hamne dekha ek ajuba yar
hamre gaw mw hamne dekha ek ajuba yar
ek phul ki jhadi phuljhdi
ban gayi tej katar jo aise rup badle
wo hamre hath kaise aye wo hamre hath kaise aye
rup ka rasiya bhawra jab koi aise jal bichaye
rup ka rasiya bhawra jab koi aise jal bichaye
kali manchali rang na badle phir to jan se jaye
ye juthe jal kyu failaye ke tujhse ram hi bachaye
ke tujhse ram hi bachaye

man ke angana ek matwari maina shor machaye
man ke angana ek matwari maina shor machaye
pyar ka pinjra lakh dikhau dekh dekh ud jaye
chidiya hath kaise aye chidiya hath kaise aye chidiya
kad ka chota akala ka mota surat jaise bhalu
kad ka chota akala ka mota surat jaise bhalu
jaha bhi dekhe mujhko karde pyar ka bhopu chalu
jaha mil jaye piche pad jaye use to ram hi samjhaye
use to ram hi samjhaye

are lala dekho dekho ha ha dekho
lala aye bolo ram
ram ram bolo ram ram ram bolo ram
hai kuch gadbad hone wala bolo ram
ram ram bolo ram ram ram bolo ram
pahnao phulo ki mala
ram ram bolo ram ram ram bolo ram
kanjusi me hai sarnam kabhi na kharche ek chatak
ram ram bolo ram ram ram bolo ram
mal ki pooja subah sham inka mandir ma lgodam
dolat se hai inko kam inka nam hai dhani ram
inka nam hai dhani ram dhani ram athani ram
ram ram bolo ram ram ram bolo ram
Naaz Tha Jis Par
Music: Usha Khanna
Lyricist: Asad Bhopali
Album: Fareb(1968)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Fareb/Naaz-Tha-Jispar-Pt.-2/S
naaz thaa jispe mere sine me vo dil hi nahi
naaz thaa jispe mere sine me vo dil hi nahi
ab yah shishaa kisi tasvir ke kaabil hi nahi
naaz thaa jispe mere sine me vo dil hi nahi

pher li mujhse nazar apno ne begaano ne
pher li mujhse nazar apno ne begaano ne
meraa ghar lutaa mere ghar ke hi mehmaano ne
meraa ghar lutaa mere ghar ke hi mehmaano ne
jo mujhse pyaar kare aisaa koi dil hi nahi
mai kahaan jau ki meri koi mazil hi nahi
naaz thaa jispe mere sine me vo dil hi nahi

dil bahal jaay khyaalaat kaa rukh mod sakun
dil bahal jaay khyaalaat kaa rukh mod sakun
mai jahaan baith ke har ahad-e-vafaa tod sakun
mai jahaan baith ke har ahad-e-vafaa tod sakun
meri taqadir me aisi koi mahfil hi nahi
mai kahaan jau ki meri koi mazil hi nahi
naaz thaa jispe mere sine me vo dil hi nahi

do jahaan sok me hai aaj fizaa bhi chup hai
do jahaan sok me hai aaj fizaa bhi chup hai
kisse fariyaad karun ab to khudaa bhi chup hai
kisse fariyaad karun ab to khudaa bhi chup hai
mai vo afasaanaa hun jo sunane ke qaabil hi nahi
mai kahaan jau ki meri koi mazil hi nahi
Yeh Dil Fareb Surat
Music: Usha Khanna
Lyricist: Asad Bhopali
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Sapera-Ek-Lutera/Yeh-Dil-F
ye dil fareb surat, ye fitnagar adayein
ye dil fareb surat, ye fitnagar adayein
ye dil fareb surat, ye fitnagar adayein
adayein adayein, insaan kya farishte
dekhe to sar jhuk jhukaye, ye dil fareb surat
ye fitnagar adayein

tarif me jhuki hai, kuch khas intjaye
tarif me jhuki hai, kuch khas intjaye
tarif me jhuki hai, kuch khas intjaye
intjaye, jo aapko na jane
wo ye fareb, ha ha fareb khaye
tarif me jhuki hai, kuch khas intjaye

tum kis kadar hasi ho
tumko khabar nahi hai
tum kis kadar hasi ho, o
tum kis kadar hasi ho, o
tum kis kadar hasi ho, hasi ho
tumko khabar nahi hai
aankh uthe nasha sa aa jaye
julf bikhre ghata si chha jaye
aankh uthe nasha sa aa jaye
hoye hoye
julf bikhre ghata si chha jaye
hoye hoye
naazo andaaz hai najakat hai
uspe ye saadgi kayamat hai
kayamat hai
tum kis kadar hasi ho, hasi ho
tumko khabar nahi hai
aa hey
tum kis kadar hasi ho
tumko khabar nahi hai
dil ke karib aao
hum aaina dikha dikhaye
dil ke karib aao
hum aaina dikhaye
ye dil fareb surat
ye fitnagar adayein

hum kya hai kya nahi hai
hum khub jante hai
hum kya hai kya nahi hai, aa
hum kya hai kya nahi hai, aa
hum kya hai kya nahi hai
hum khub jante hai
aap tarif kar rahe hai kyu
itni taklif kar rahe hai kyu
aap tarif kar rahe hai kyu
ae ji
itni taklif kar rahe hai kyu
ae ji
is tamashe se fayda kya hai
saaf kahiye ke mustra kya hai
mustra kya hai
hum kya hai kya nahi hai
hum khub jante hai
aa ha
hum kya hai kya nahi hai
hum khub jante hai
jo baat dil na maane
hum kaise maan maan jaye
tarif me jhuki hai
kuch khas intjaye
tarif me jhuki hai
kuch khas intjaye

ye dil fareb surat
ye fitnagar adayein

ram ram ram ram
ram ram ram ram
mohan muraliya wale re
ab to darsh dikha de
dikha de
mohan muraliya wale re
ab to darsh dikha de
dikha de
radha ne jo suni thi dhun
wo dhun mujhe suna de
mujhe suna de
mohan muraliya wale re
ab to darsh dikha de
dikha de

prabhu tumhare darsh bina ye jivan
hai ek sapna re sapna
in charno me jagah mile to
janam safal ho re apna
mohan muraliya wale wale re
ab to darsh dikha de
dikha de
mohan muraliya wale re
ab to darsh dikha de
dikha de
mohan muraliya wale re
ab to darsh dikha de
dikha de
mohan muraliya wale re
ab to darsh dikha de
dikha de
Qasam Hai Tujhe Mehfil Ki
Music: Usha Khanna
Lyricist: Verma Malik
Album: Deedar(1970)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Deedar/Kasam-Hai-Tujhe-Mehfil
qasam hai tujhe mahfil ki mai nachun tu pi
mai nachun tu hik
bili bili bappa ba bappa
bappa ba bappa bappa ba bappa
bappa ba bappa bappa ba bappa
pine se pilane se paimane se maykhane se
begane se zamane se tu bach bacha tu bach bacha
pine se pilane se paimane se maykhane se
begane se zamane se tu bach bacha tu bach bacha

he javani me kabhi kis kabhi kis kabhi kis
he he ho ho he he
javani me kabhi kisi se ankh na lada
ankh lad jae to bhi dil na mila
dil mil jae bhi to shor na macha
mithe-mithe vado pe tu sabko nacha
kyun kyun kya
yahan dil bhi bura hai diladar bhi bura
ikrar bhi bura hai inkar bhi bura
ikrar bhi bura hai inkar bhi bura
pine se pilaane se paimane se mayakhane se
begane se zamane se tu bach bacha tu bach bacha
bili bili bappa ba bappa bili bili bappa ba bappa
bili bili bappa ba bappa bili bili bappa ba bappa

are dil de koi to koi to koi to
he he ho ho he
are dil de koi to dil tod do beshaq
ankh jo milae ankhe phod do beshaq hu hu
phul na mile to tahni mod do beshaq
buri duniya hai ise chhod do beshaq
kisalie kisalie kya
nek naam bhi bura badnam bhi bura
aagaaz bhi bura hai anjam bhi bura anjam bhi bura
pine se pilaane se paimane se mayakhane se
begane se zamane se tu bach bacha tu bach bacha
bili bili bappa ba bappa bili bili bappa ba bappa
bili bili bappa ba bappa bili bili bappa ba bappa

yeh duniya toh hai hai hai ah ah he he ho ho heh heh
yeh dunia toh hai paglon ka shehar
chahta nahi yeh kisi ki bhi khair
ik haath dosti toh ik haath bair
uppar se apne toh andar se gair
kaise ary kaise kya
kamiyab bhi bura hai nakaam bhi bura
mehfil bhi buri hai aur jaam bhi bura jaam bhi bura
pine se pilaane se paimane se mayakhane se
begane se zamane se tu bach bacha tu bach bacha
pine se pilaane se paimane se mayakhane se
begane se zamane se tu bach bacha tu bach bacha
kya dhadak dhadak dil dhadke
Music: Roshan
Lyricist: Usha Khanna
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aji-Bas-Shukriya/Kya-Dhadak-D
kya dhadak dhadak dil dhadke
kya pyar ka shola bhadke
kya dhadak dhadak dil dhadke
kya pyar ka shola bhadke
tu rahna o babu sambhal ke jara
tu rahna o babu sambhal ke jara
mohabbat ka rashta hai kato bhara
mohabbat ka rashta hai kato bhara
are aag se daman bacha

kya dhadak dhadak dil dhadke
kya pyar ka shola bhadke
kya dhadak dhadak dil dhadke
kya pyar ka shola bhadke

kahi bhi lagana na dil ko kabhi
kahi bhi lagana na dil ko kabhi
ye najuk hai sikka bada kimti
ye najuk hai sikka bada kimti
jo tuta to fir ye judega nahi
kya dhadak dhadak dil dhadke
kya pyar ka shola bhadke
kya dhadak dhadak dil dhadke
kya pyar ka shola bhadke
jabse bani hai ye duniya
Music: Usha Khanna
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aao-Pyar-Karen/Aao-Pyar-Karen
jabse bani hai ye duniya
pyaar sanam hai pyaar khuda
jabse bani hai ye duniya
pyaar sanam hai pyaar khuda
aao pyaar karen, pyaar karen
aao pyaar karen, aao pyaar karen
pyaar karen, aao pyaar karen

wo dil dil hi nahin, jo na ho bekaraar
aankh wo kya jisme nahin, kisi ka intezaar
wo dil dil hi nahin, jo na ho bekaraar
aankh wo kya jisme nahin, kisi ka intezaar
kitni bhi ho ye duniya haseen
pyaar nahi to kuch bhi nahin
aao pyaar karen, pyaar karen
aao pyaar karen, aao pyaar karen
pyaar karen, aao pyaar karen

duniya ke har gam ki, pyaar hi hai dawa
kyun na rahe dil me sada, pyaar hi ka nasha
duniya ke har gham ki, pyaar hi hai dawa
kyun na rahe dil me sada, pyaar hi ka nasha
apna saathi saath mile,pyaar ka daaman haath mile
aao pyaar karen, pyaar karen
aao pyaar karen, aao pyaar karen
pyaar karen, aao pyaar karen

pyaar ki dhun me magan, chalta rahe caravan
soch ye kyun fikr ye kyun, manzilen hain kahan
pyaar ki dhun me magan, chalta rahe caravan
soch ye kyun fikr ye kyun, manzilen hain kahan
pyar ki subah o shaam nahin, iska koi anzaam nahin
aao pyaar karen, pyaar karen
aao pyaar karen, aao pyaar karen
pyaar karen, aao pyaar karen